Mujhe JamaateRazaeMustafa se Pyaar Hai
Plz Visit Jamate Razae Mustafa Website:

Tuesday, May 4, 2010

TASWEER KA BAYAAN


HADEES SHAREEF:Qyamat ke Din ALLAH TAALA Ki Baargah Me Subse Ziyada Sakht Tarin Azaab Un Tasveer Banane Waalon Per Hai Jo KHUDA Ke Banae Huwe Ki Naql Kare (BUKHARI)


HADEES SHAREEF:Sab Se Ziyada Azaab Allah Ke Nazdeek Tasveer Banane Wale Ko Hoga {MISHKAT J:2,S:188}

HADEES SHAREEF:Hazrat Abdullah Ibne Abbas Radiyallahu Ta'ala Anhuma Se Riwayat Hai Rasool Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Her Tasweer Banane Wala Jahannum Me Hai,Her Tasweer Ke Badle Jo Isne Banayi Thi Allah Ta'ala Ek Makhlooq Paida Farmayega Jo Use Jahannum Me Azaab Deti Rahegi.Hazrate Abbas Radiyallahu Ta'ala Anhuma Ne Farmaya Agar Tumhare Liye Aisa Karna Zaroori Ho Jaye To Sajar Wa Hazar Jaisi Saql Banao Jisme Rooh Aur Jaan Na Ho.>Miskaat Shareef- Babe Tasaweer Fasle Awwal


HADEES SHAREEF:Huzoor Sallallaho Alaihi Wassalam Irshaad Farmate Hai Jis Ghar Me Kutta Aur Tasaweer Ho Us Ghar Me Rehmat Ke Farishte Daakhil Nahi Hote Fatawe Razviya,Zild 9 ,Safa 143 Per Hai ke Ahadees Is Bare Pe Tawatir Per Hai Jiska Kasdan Inkaar Karne Wala Kamaskam Gumrah Bad deen hai.

Hazrat Ayesha Radiyallahu Ta'ala Anhu Momino Ki Maa Farmati Hain Maine ek Darwaze Per TASWEER Dar Perda Latkaya Hua Tha Jab Huzur(SALLALLAHO TA'ALA ALAIHI WASALLAM) Tashreef Laye Use Mulahiza Farmaker Rang Chehrae Anwer ka Badal Gaya Ander Tashreef Na Laye Maine Arz Kiya ya RasoolAllah Main ALLAH Or ALLAH Ke RASOOL Ki Taraf Touba Kerti Hun Mujhse Kya Khata Hui Huzur (SALLALLAHO TA'ALA ALAIHI WASALLAM)Ne Wo Perda Utarkr Faink Diya Or Farmaya Aiy Ayehsa Allah K Yahan Sakht ter AZAB Roze Qyamat Un MUSAWWIRO Per Hai Jo KHUDA K Banaye Huye Ki Naqal Kerte Hain Unper Roze Qayamat Azab Hoga Kaha Jayega Jo Banaya Hy Usme Jan Dalo. >BUKHARI

HADEES:3 Cheezen Hain Ke Jab Tak Unmein Se Ek Bhi Ghar Me Hogi Koi Farishtae Rehmato Barkat Ka Us Ghar Me Dakhil Na Hoga 1>KUTTA 2>JUNBI 3>TASWIR >IbneMaja

JHOOT KA BAYAAN


HADEES:Tirmizi Ne Ibne Umar Radiyallahu Taala Anhuma Se Riwayat Ki ki Rasoolullah Sallallaho Ta'ala ALaihi Wasallam Ne Farmaya Banda Jab Jhoot Bolta Hai Uski Badbu Se Farishte Ek Mil Dur Ho Jaate Hai.

HADEES:Imam Ahmed Ne Hazrate Abubakr Radiyallahu Ta'ala Anhu Se Riwayat Ki ki Rasoolullah Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ne Farmaya Jhoot Se Bacho Kyonki Jhoot Imaan Se Mukhalif Hai.
HADEES:Baihaqi Ne Abu Hurairah Radiyallahu Ta'ala Anhu Se Riwayat Ki ki Rasoolullah Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya Banda Baat Karta Hai Aur Mahaz Isliye Karta Hai Ki Logo Ko Hasaye Uski Wajah Se Jahannum Ki Itni Gehrayi Me Girta Hai Jo Aasmaan Wa Jameen Ke Darmiyaan Ke Faasle Se Ziyada Hai Aur Zubaan Ki Wajah Se Jitni Lagjis (khata)Hoti Hai Yah Usse Kahi Ziyada Hai Jitni Kadam Se Lagjis Hoti Hai.

AHAADEES FAZAILE RAMZAAN

HADEES: Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu t’aala Anhu Farmate hain k Huzoor Sallallahu T’aala Alaihiwasallam Farmate hain “Jab Ramzaan aata hai, aasmaan ke darwaze khol diye jaate hain. Ek riwayat Mein hai k “Jannat ke darwaze khol diye jaate hain.”Ek Riwayat Mein hai k “Rehmat ke darwaaze khol diye jaate hain”(BUKHARI & MUSLIM SHARIF)

HADEES: Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu Se riwayat hai k Huzoor – e – Aqdas sallallaahu T’aala Alaihi wasallam ne farmaya k “Ramzan Aaya ye barkat ka mahina hai Allah T’aala iske roze tumpar farz kiye, IsMe Aasman Ke Darwaze khol diye jaate hai aur dozakh ke darwaaze bandh kar diye jaate hai aur sarkash shaitaanon ke tauqe daal diye jaate hain. (NASAI SHARIF)

HADEES: Hazrate Sahal ibne saad Radiyallahu T’aala Anhu Se Marwi hai k Rasoolullah Sallallahu T’aala Alahi Wasallam Farmate hain “Jannat Mein 8 darwaze hain,unme ek darwaze ka naam RAIYYAAN hai Uss darwaaze Se wohi jaayenge jo roze rakhte hain.

(BUKHARI)

HADEES:Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu se Riwayat hai k Rasoolullah Sallallahu T’aala Alaihi Wasallam ne Farmaya “ Jo Imaan ki wajah se Aur sawaab ke liye Ramzaan ka Rozah Rakhega uske Gunaah bakhsh diye jaayenge aur jo imaan aur sawaab ki Niyyat se ramzaan ki raaton ke qayaam karega ( Nawafil padhega) uske agle gunaah maaf kar diye jaayenge.

(BUKHARI,Muslim SHARIF)

KHAANE PEENE KE ADAAB WA SUNNAT


HADEES:Sahi Muslim Shareef Me Huzaifa Radiyallahu Ta'ala Anhu Se Marvi Ki Rasulullah Sallallaho Alahi Wasallam Ne Farmaya Ki Jis Khane Per Bismillah Na Padhi Jaye Shaitan Ke Liye Wah Khana Halal Ho Jata Hai Yaani Bismillah Na Padhne Ki Surat Me Shaitan Us Khane Me Sarik Ho Jata Hai.

HADEES:Sahi Muslim Me Jaabir Radiyallahu Ta'ala Anhu Se Marvi Hai Ke Huzure Akdas Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya Jab Koi Shakhs Makaan Me Aaya Aur Daakhil Hote Waqt Aur Khate Waqt Usne Bismillah Padh Li To Shaitan Apni Awlaad Se Kehta Hai Ki Is Ghar Me Na Tumhe Rehna Milega Na Khana Aur Agar Daakhil Hote Waqt Bismillah Na Padhi To Kehta Hai Ab Tumhe Rehne Ki Jagah Mil Gayi Aur Khane Ke Waqt Bhi Bismillah Na Padhi To Kehta Hai Ki Rehne Ki Jagah Bhi Mili Aur Khana Bhi Mila.

Quran Majid Padhne Ke Fazail


HADEES : Sahi Bukhari Me Hazrate Usman Gani Radiyallahu Ta'ala Anhu Se Marvi Ki Rasoolullah Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ne Farmaya Tum Me Behter Wah Shakhs Hai Jo Quraan Sikhe Aur Sikhaye.

HADEES:Jo Shakhs ALLAH TA'ALA Ke Liye Yaseen Padhega Uske Agel Gunaho Ki Magfirat Ho Jayegi Lihaza Usko Apne Murdo Ke Paas Padho. (BAIHAQI)

HADEES:Jo Shakhs Sureh 'HA MEEM DUKHAN'Sabe Jume Me Padhe Uski Magfirat Ho Jayegi.(TIRMIZI)

HADEES:Nabi Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ne Ek Shakhs Ko 'QULHUWALLAHU AAHAD'Padhte Suna Farmaya Ki Jannat Waajib Hogayi.
(TIRMIZI SHAREEF)