HADEES: Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu Se riwayat hai k Huzoor – e – Aqdas sallallaahu T’aala Alaihi wasallam ne farmaya k “Ramzan Aaya ye barkat ka mahina hai Allah T’aala iske roze tumpar farz kiye, IsMe Aasman Ke Darwaze khol diye jaate hai aur dozakh ke darwaaze bandh kar diye jaate hai aur sarkash shaitaanon ke tauqe daal diye jaate hain. (NASAI SHARIF)
HADEES: Hazrate Sahal ibne saad Radiyallahu T’aala Anhu Se Marwi hai k Rasoolullah Sallallahu T’aala Alahi Wasallam Farmate hain “Jannat Mein 8 darwaze hain,unme ek darwaze ka naam RAIYYAAN hai Uss darwaaze Se wohi jaayenge jo roze rakhte hain.
(BUKHARI)
HADEES:Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu se Riwayat hai k Rasoolullah Sallallahu T’aala Alaihi Wasallam ne Farmaya “ Jo Imaan ki wajah se Aur sawaab ke liye Ramzaan ka Rozah Rakhega uske Gunaah bakhsh diye jaayenge aur jo imaan aur sawaab ki Niyyat se ramzaan ki raaton ke qayaam karega ( Nawafil padhega) uske agle gunaah maaf kar diye jaayenge.
(BUKHARI,Muslim SHARIF)
No comments:
Post a Comment